Tumse roothti
Tumse roothti hoon main
Kyoki jaanti hoon main
Mujhe tum phir mana loge
Gale se bhi laga loge
Ye ansoo ko bahane ke
Bahane paas aane ke
Ye tumko kuch satane ke
Meri baate manane ke
Vi jo muskake na mane
Unhe ro ke manane ke
Mera jo Haq hai tujh per sun
Usi Haq ko jatane ke
Jo mere Ruthne se rusth
Ho tum rooth jaoge
Ye naazuk pyaar ke dhage
Inhe jo aazmaoge
Na mai tum ko manaoon to
Na mujhko tum Manaoge
Suno na kis taraha phir tum
Mohobbat ko nibhaoge
Chalo Ek kaam karte hai
Mai Thoda sa hi roothoongi
Mujhe thoda manana tum
Main Thoda khud hi maanoongi
Yu haskar, roothkar, milkar
Ise hum tum sambhalenge
Yuhi in pyar ki baaton me
hum Jeevan gujarenge
Comments
Post a Comment