Is waqt ke hi saath main mai chalta chala gaya
Main waqt ke sanche me dhalta chala gaya
Na Jane kitna iske liye mai Badal gaya
Jo isne chaha mujhse main waise hi ban gaya
Ab dekhta hoon khud ko to mai main hi na raha
Main waqt yu saath nibhata chala Gaya
Na Jane kitna iske liye mai Badal gaya
Jo isne chaha mujhse mai usme hi dhal gaya
Ab dekhta hoon khud ko to mai main hi na raha
Yun khojta tujhko khuda mai Darba dar phira
Mandir me na mila mujhe majid me na mila
Kat jaati meri Zindegi talash me teri
Jo khojta na khud me tujhko e mere khuda
Comments
Post a Comment